Monday, 9 January 2012

Saaya-e-Zuljalaal kehte hein
Haakim-e-Bemisaal kehte hein
Jo hai is daur ka Imam usay
Meem-Hay-Meem-Daal kehte hein






Momin ki har sada ko taira intezar hay
eman ki baqa ko taira intezar hy
phr sajda e hussain ki hayat hay deen ko
aa ja ka la ilha ko taira intezar hy
parda hata k daikh mairey daur k hussain
haan aab bhi karbala ko taira intezar hy
Baichain zulfiqar hy beetab murtajis
Abbas e bawafa ko taira intezar hy
Tu hi suna sakay ga sahi maqtal e hussain
Har majlis e azza ko taira intezar hy




Aaye baghe askari k muqadas tareen phool
Aaye kaaba e fikro nazar aa kibla e asool
Aa hum say bhi khiraj e dil o jaan Kijye wasool
Mola tairey bagair hum ko qayamat nhn qabool
Jannat me maalo zar na hukumat k wastay
hum ji rahey hyn teri ziyarat k wastay
Tumhare hijr ko wo inteha na keh bethein
Kaheen janab ko wahdat saraa' na keh bethein
Wajood rakhte huey bhi dikhaii dete nahi
Ae Mola bande tujhi ko Khuda na keh bethein







**Imam Hussain(A.S) k
Wjood ki barkat..**
jb fakhar kay sabab Futrass farishtay k par jala diay ghae,
tu wo urnay say lachar ho gia.wo futrass jisay apni parwaz par bara hi naz tha .
jab Hussain(A.S) ki wiladat huie tu, Allah k hukam se
Farishtay, jibraeil ki rehbri mein Zamin pr nabi e pak
ko Hussain(A.S) ki mubbarak baad denay ko arahay thay
k us zakhmi Frishtay ki jibaeil pr nazr pari, tu kahnay laga:
Ae jibraeil zamin par qyamat agai hai kya?
Jibraiel n



Hai azme Khalili sinoan me, sholoan me phool khila denge
Hathoan me nihan hai zoore Ali, Khaiber ka saman dikhla denge
Abbas-e-dilawar ke waris, har ek ki pyas bhuja denge
Ye nasl wa mulk wa rango watan, ki sab diware gira denge

Is waqat fiza-e-alam me, bas ek Alam lehraega
sab thaat pada rehjayega, jab aane wala aayega
Salam Ya Husain!!
Apni taqdeaer Jagatey hen tere Matam se,
Khoon ki raah bechaty hen tere Matam se,
Apne izhar-e-aqeedat ka saliqa ye hai,
Hum naya Saal manatey hen tere matam se..






Daman e Aql Ko Jo Chaak Nhi Kr Skta,
Wo Kbi Noor Ka Idrak Ni Kr Skta,
Bughz e HAIDER Ki Nijasat Ha Nijasat Aisi,
Aab-e-Zum Zum Bhi Jisy Pak Nhi Kr Skta.




ALI ky hain wasf itnay kay shumar kon karee
ye kaam he PARWADIGAR tera or kon karee
tee soch kar na kiyee KHUDA ne paida or ALI
kay shigaf KABBAY main kon baar baar karay
Khoon Se Charagh-e-deen jalaya Hussain ne,,
Rasm-e-Wafa ko khoob nibhaya Hussain ne..
Khud ko to ek boond bhi Pani na mil saka,,
Karb-O-Bala Ko khoon pilaya Hussain ne..
Aesi Namaz kaon parhega Jahan men?
Sajda kiya to Sar Na uthaya Hussain ne.!
Sab kuch Khuda ki raah men Qurban kar diya,
Asghar sa phool bhi na bachaya Hussain ne..




ALI se bughz b aur SHOQ-E-JANNAT b?

IBADATON  ka b koi asool hota hai.

Tu ALI ki jaye WILADAT se inkar to kar.
Dekhoon tera HAJ kaisay QABOOL hota he.









Yun Hi Nahi Jahan Main
Charcha HUSSAIN Ka

Kuch Dekh K Hua Tha
Zamana HUSSAIN Ka

Sar De k Do Jahan Ki
Hukumat Khareed Li

Mehanga Para yazeed Ko
Sauda HUSSAIN Ka ...
 

Janat Ki Aarzu Main
Kahan Ja Rahe Hyn Log
Janat Tou Karbala Main
Khareedi HUSSAIN Ny
Dunya-o-Aakhrat Main
Jo Rehna Ho Chain Sy
Jeena ALI Sy Seekho
Marna HUSSAIN Sy


Jab Bhi Kabhi Zameer
Ka Sauda Ho Dosto'n
Qayam Raho HUSSAIN
K Inkaar Ki Terha !!!
 



Aey Karbala k qasr ki mai'maar as'salam....

Aey jur'aton ki aahani deewar as'salam....

Ghurbat may Shahzadi-e Mukhtar as'salam....

Aey ghaaza-e-rukh-e-Shah-e-abraar as'salam....

Jo rang charh chuka tha utarnay nahi diya....

Tu nay kisi Shaheed ko mernay nahi diya.