Monday, 9 January 2012

Saaya-e-Zuljalaal kehte hein
Haakim-e-Bemisaal kehte hein
Jo hai is daur ka Imam usay
Meem-Hay-Meem-Daal kehte hein






Momin ki har sada ko taira intezar hay
eman ki baqa ko taira intezar hy
phr sajda e hussain ki hayat hay deen ko
aa ja ka la ilha ko taira intezar hy
parda hata k daikh mairey daur k hussain
haan aab bhi karbala ko taira intezar hy
Baichain zulfiqar hy beetab murtajis
Abbas e bawafa ko taira intezar hy
Tu hi suna sakay ga sahi maqtal e hussain
Har majlis e azza ko taira intezar hy




Aaye baghe askari k muqadas tareen phool
Aaye kaaba e fikro nazar aa kibla e asool
Aa hum say bhi khiraj e dil o jaan Kijye wasool
Mola tairey bagair hum ko qayamat nhn qabool
Jannat me maalo zar na hukumat k wastay
hum ji rahey hyn teri ziyarat k wastay

No comments:

Post a Comment