Monday, 9 January 2012


Janat Ki Aarzu Main
Kahan Ja Rahe Hyn Log
Janat Tou Karbala Main
Khareedi HUSSAIN Ny
Dunya-o-Aakhrat Main
Jo Rehna Ho Chain Sy
Jeena ALI Sy Seekho
Marna HUSSAIN Sy


Jab Bhi Kabhi Zameer
Ka Sauda Ho Dosto'n
Qayam Raho HUSSAIN
K Inkaar Ki Terha !!!
 



Aey Karbala k qasr ki mai'maar as'salam....

Aey jur'aton ki aahani deewar as'salam....

Ghurbat may Shahzadi-e Mukhtar as'salam....

Aey ghaaza-e-rukh-e-Shah-e-abraar as'salam....

Jo rang charh chuka tha utarnay nahi diya....

Tu nay kisi Shaheed ko mernay nahi diya.

No comments:

Post a Comment